Friday, August 24, 2012

love poems|cute love poems|urdu love poems|love poem|rumi love poems|greatest love poems|deep love poems|sorry love poems|short love poems|famous love poems|short love poems for her|short love poems for him|romantic love poems|free love poems|love poems for wife|love poems for him|teenage love poems|pablo neruda love poems|best love poems|i love you poems|long distance love poems|love poems him|short love poem|wedding love poems|love poems by famous poets|sweet love poems|love poems for a girl|love poems from the heart

LOVE POEMS

1.
tumhe ye pata nahi meri taqdeer ho tum 
jo khayaloun mai bassi hai woh tasviir ho tum 

her qaddam jo sang chalay woh saya ho tum 
nazar jab bhi dekhe woh nazara ho tum 

shair jo likhay woh Haseen gazal ho tum 
jis per marr mitta gia KASHIF wo haseen shahkaar ho tum 

meri zindagi ho tum meri jannat ho tum 
karay jo roshan qismatt woh dia ho tum 

meri duniya meri manzil mere dil ki dhardhkan ho tum 
bus r kia likhuun meri MOHOBBAT ho tum 

2.
aisa jalwa nahin daikha, aisa chehra nahin daikha 

jab yeh daaman ko hawa de, aag jungle main laag jaye 
jab yeh sehron main jaye, rait main phool khil jain 

uske kangan ka khahnakna, jaise bulbul ka chehekna 
uski paazeb ki cham cham, jaise barish ka moasam 

aisa sawan nahin daikha, aisi barish nahin daikhi 
aisi rimghim nahin daikhi, aisi barsat nahin daikhi 

uski bebaaq c baatain, jaise sardi ki hoon raatain 
uff yeh tanhai-e-masti, jaise toofan main kashti 


aisi aankahin nahin daikhin 
aisa jalwa nahin daikha 
aisa chehra nahin daikha...!!! 

3.
ye tumne dastak dee ya maine darwaza khol diya, 
ye tumne pyaar se baat ki ya maine dil de diya, 

ye kis ne duaa mangee k maine tumhain pa liya, 
ye kis ne naiki ki k mujhe ajar mil gaya, 

ye tumne haath agay barhaya ya maine garehbaan khainch liya, 
ye tumne kiya jadoo kar diya k maine tumhain apni ZINDAGI bana liya

4.
meri ankh main jhalak teri 
meri saans main mehak teri 
mere gumaan main weham tera 
meri neend main khuwab tere 
mere dill main dharkan teri 
mere jism main ooh teri 
mere sog main rog tera 
mere dar main khauf tera 
meri tanhai main baten teri 
mere hathon main lams tera 
mere khayal main jeet teri 
mere ishq main bazi teri 

lo sunao zindagi ki dastaan meri 
main tera aur meri muhabbat bhi teri

5.
Wo baat baat main itna badalta jata hai 
k jis tarah koi lehja badalta jata hai 

Ye aarzoo thi k hum uske saath saath chalein 
magar wo shakhs tou rasta badalta jata hai 

Rutain wisaal ki ab khuwab honay wali hain 
k uski baat ka lehja badalta jata hai 

Raha jo dhoop main sar par mairay wohi anchal 
hawa chali hai tou kitna badalta jata hai 

Wo baat kar jissay duniya b mo'atbar samjhay 
tujhay khabar hai zamana badalta jata hai 

6.
IF DREAMS WERE TOUCHED BY YOU, 


NO1 WOULD EVA WAKE. 


IF DAYS STARTED WITH DA TOUCH OF YOUR SMILE, 


NO1 WOULD SLEEP. 


N IF EVERYBODY WAS LIKE YOU, 


DIS WOULD B HEAVEN....

7.
WHAT LOVE SAYS??? 
love dont ask!! 
"who are you??" 
love only says!! 
"you are mine!!" 
love dont ask!! 
"where are you from???" 
love only says!! 
"you lives in my heart!!" 
love dont ask!! 
"what do you do???" 
love only says!! 
"you make my heart to beat!!" 
love dont ask!! 
"why are you far away???" 
love only says!! 
"you are always with me!!"

8.
Kya sunayain kis haal mein ati hai pardes ki eid,
Nikal aate hain aansu jab yad ati hai dess ki eid,
Rahain woh khush-o-huram ghar mein apne,
Jin ke liye hum ko rulaati hai pardes ki eid,
Aate hain yaad jab woh phool se chehre,
Us lamhe hum ko kitna tarpati hai pardes ki eid,
Kis se galley milain kisey kahain ge apna hum,
Bas yu’n hi guzar jati hai pardes ki eid,
Kehte hain har bar bas pardes ki hai ye akhri eid,
Agley saal phir aa jaati hai pardes ki eid..

9.
Jab koi naik kaam karte hain,
Jaane man tere naam karte hain,
Tere chehre se dhoop lete hain,
Teri zulfon mein shaam karte hain,
Kis qadar tang hoon mohabbat se,
Log yeh kese kaam karte hain,
Un ki peshaaniyan chamakti hain,
Jo mohabbat ko aam karte hain,
Dil ke dalaa’n mein sajaa kar yaad,
Jashan ka ehtamaam karte hain,
Sochte hain tujhe wuzzu kar ke,
Yu’n tera ehtraam karte hain,
Hum se hi ibtidaa huyi jana’n,
Hum hi ab ehtamaam karte hain..

10.
Ek Chehra Jo Mere Khwaab Sajaa Deta Hai
Mujh Ko Mere Hee Khayaalon Mein Sadaa Deta Hai
Wo Mera Kon Hai Maloom Nahi Hai Laikin
Jub Bhi Milta Hai Tou Pehluu Mein Jagaa Deta Hai
Mein Jo Andar Se Kubhi Toot Ke Bikhruun
Wo Mujh Ko Thaamnay Ke Lye Haath Barha Deta Hai
Mein Jo Tanha Kubhi Chupkay Se Bhi Rona Chaahun
Tou Dil Ke Darwaazay Ki Zanjeer Hila Deta Hai
Os Ki Qurbat Mein Hai Kia Baat Na Jaanay “Mohsin”
Ek Lamhay Ke Lye Sadyon Ko Bhula Deta Hai